Page 767 - Quran-e-Kareem
P. 767
41 Sureh haa meem (767) 24 para
th
st
Wo mojood hain jo raat aur din aur usski paki bayaan karte rehtay han
aur wo ( zaraa bhi) nahi ooktaate 41:38 aur usski nishaniyoun mea se yeh
baat bhi hai k zameen ko tum zaleel ( khushak) haalat mea dekhte ho phir
jab hum uss per paani utaartay han tu wo lehlahatti aur ubhar jaati hai
jisnay ussko zinda kardiya wo murdoun ko (bhi) zaroor zinda karnay wala
hai ( toye) beshak wo her cheez per (poori) poori qudrat rukhnay wala hai
41:39 yaqeenun wo log jo hamaari aayatoun mea bayjaa dakhal diya karte
hain wo hum say pooshida nahi hain (toye) kya wo jo jahannum mea daale
jaayenga acha hai, ya wo jo qayamat k din aman-o-amaan say aayega?
(toye) tumhaara jo jee chahay karte raho (jo) jo kuch tum kar rahay ho
khuda talaa yaqeenun usska daykhnay wala hai 41:40 beshak wohi log hain
jinhonay Quran majeed ka jis waqt bhi unke pass aaya inkaar kardiya
(jeem) halaanke wo aisa zabardast nawishta hai (laa) 41:41 k na guzishta k
mutaalliq uski khabrein galat hain aur na aainda k mutaalliq galat hoongi
wo sahib-e-hikmat aur laayekh-e-tareef

