Page 766 - Quran-e-Kareem
P. 766
41 Sureh haa meem (766) 24 para
th
st
Aur ussay behtar baat kiski hogi jo Allah ki taraf bulaaye aur naik amal
karay aur yeh kahay k yaqeenun mea ( khuda ki ) itaayat karnay waloon
mea say hoo 41:33 aur nayki aur badi to barabar hoti nahi tum badi ka
dafeeya uss cheez say karo jo bohat hee achi ho tu yakayuk wo shaks jiskay
aur tumhaare maabain adawat hogi aesa hojaayega jesay sargarum doost
hota hai 41:34 aur iss khuslat k qabool karnayki tofeeq siwaaye unlogo k
jinhonay sabar kiya hai aur kisi ko nahi milegi aur iss khuslat per amal
karneki tofeeq siwaaye unke jinka hissa bohat bara hai aur kisi ko na
milaygi 41:35 aur agar shaytan ki taraf say tumhaare dil mea koi waswasa
dala jaaye to tum Allah ki panaah maang liya karo ( toye) yaqeenun wo
bara sunnay wala ( aur) bara jaanay wala hai 41:36 aur raat aur din aur
sooraj aur chaand ussi ki nishaniyoon mea say hain (toye) tum log na
sooraj ko sajda karo aur na chaand ko balkay uss Allah ko sajda karo jis
nay unko paida kiya hai agar tum ussi k banday banna chahatay ho 41:37
phir agar yeh akrein tu tumhaara parwardigar k pass tu

