Page 763 - Quran-e-Kareem
P. 763
41 Sureh haa meem (763) 24 para
th
st
Chakhadein aur akhirat ka azaab tu zyada ruswaa karnay wala zaroor hai
aur unki koi madad na ki jaayegi 41:16 aub rahi (qaum-e-) samood so
humne to unko hidaayat ki aur unhonay hidaayat k muqablay mea
gumraahi ko pasand kiya pas jaisi kartoot wo kiya karte thay ( waisay hee)
uske a’waz mea zillut k azaab ki bijlee nay unko ( bhi) aaliya (jeem) 41:17
aur jo imaan lay aaye thay aur dartay rehtay thay unko humnay nijaat
daydi (ain) 41:18 aur jis din Allah k dushman jahannum mea paas jamaah
kiye jaayenge phir wo (jo pehle pohonchay auroun k intezaar mea ) rokay
jaayenge 41:19 yahan tak k wo (sab) jahunum mea pohonch jaayenge aur
unke kaam aur unki aakhein aur unki khalein jo (jo) bud-amali wo kiya
karte thay uski baabat unke barkhilaaf shahadat dengi 41:20 aur wo apni
khaloo say kahenge k ( bhala) tum nay hamaare barkhilaaf shahadut kyun
dee? (toye) wo jawab dengi k humko tu ussi khuda nay goya kardiya jisnay
her cheez ko goyaaee dee hai ( al-hasil) ussi nay tumko paida kiya hai aur
ussiki huzoor mea tumhaari baazgusht hogi 41:21 aur tum iss ( khoof) say
k tumhaare kaam tumhaare barkhilaaf gawaahi denge

