Page 765 - Quran-e-Kareem
P. 765
41 Sureh haa meem (765) 24 para
th
st
Hum usssay badter badla unko zaroor-bilzaroor denge 41:27 Allah k
dushmano ka badlaa yahee jahannum hai ( jeem) is mea unke hamesha
rehnay ka ghar hai (toye) jesa wo hamaari aayatoun ka inkaar karte thay
waisa hee uska badlaa hai 41:28 aur jo log kafir hogaye wo yeh kahenge k
aye hamaare parwardigar tu humein undono ko dikhlaade jinhonay
humko gumraah kiya tha k ek unmay say jinnoun mea say hai aur ek
aadmiyoo mea say taakay hum unko apnay paoun k neechay kuchlein k
wo sab say neechay hojaein 41:29 beshak jin logo nay yeh kaha k hamara
parwardigar Allah hai phir wo ( wilayut-e-Ameer-ul-Momineen per bhi)
qaim rahe unper farishte ( yeh payghaam lekar ) naazil hongay k tum naa
aainda k liye khoof karoo aur naa guzishta k mutaliq afsoos aur jis jannat
ka tum say waada kiya jata tha usski bashaarat lo 41:30 hum zindagaani
dunya mea (bhi) tumhaare dost thay aur aakhirat mea ( bhi) hain( jeem)
aur jannat mea tumhaare liye her wo cheez mojood hai jisko tumhaara jee
chaahay aur ussmay tumhaari khatir her wo cheez jo tum talab karo 41:31
baray bakshnay walay aur rehem karney waalay ki taraf say mehmani k
taur per mohayya hai (ain) 41:32

