Page 808 - Quran-e-Kareem
P. 808
47 Sureh Muhammad (808) 26 para
th
th
SURAH MUHAMMAD sawa MADINAH SUREH 38 AAYAT
Bismillah Ar Rahman Nir Raheem
Rehmaan o raheem k naam se [shuruu karta hun]
Jo log kafir ho gaye aur [unhone logon ko] raah e khuda se roka khuda ne
unhi k amaal baatil kerdiye 47:1 aur jo log imaan laaye aur unhone nek
amaal kiye aur jo kuch Muhammad Mustafa s.a.w.a per naazil kiya gaya
aur wo unke parwardigaar ki taraf se haq hai ussper bhi imaan laaye unse
unki badiyan dur fermaden aur unki haalat durust kerdi 47:2 ye issliye k jo
kafir hogaye unhone to baatil ka itteba kiya aur jo imaan laaye unhone us
haq ki pairawi ki jo unke parwardigaar ki taraf se hai, is terah Allah
admiyoun k liye unki misaalen bayaan fermata hai 47:3 pas jab tum
kuffaar se muqaabla karo to gardanoun k marna hai, yahan tak k jab tum
unko khoob khatl kerchuko to kas kas k mushken {peechey ki taraf unke
haath} bandhlo phir uske baad yato ehsaan kerna hai ya fidya lelena. Jab
tak k ladai apne hathyar na daal dein. Aisa hi hai aur agar Allah chahta to
unse badla leta lekin is liye k tum mein se ek ko doosre k zariye [usne
hukum e jehad diya] aur jo log rah e khuda mein maar dale gaye

