Page 809 - Quran-e-Kareem
P. 809
47 Sureh Muhammad (809) 26 para
th
th
Wo hargiz unke amaal zaya na karega. 47:4 ankhareeb wo unko jannat tak
pahuncha dega aur unke haal ki islaah fermaayega 47:5 aur wo unko us
jannat mein daakhil karega jo usne unko pehchanwaadi hai 47:6 aye imaan
walo agar tum Allah ki madad karoge to wo bhi tumhaari madad karega
aur tumhaare khadam jamadega 47:7 Aur jo log kafir hogaye hai pass unke
liye halaakat hai aur unke amaal baatil kardega 47:8 ye isliye k Allah ne jo
kuch us se unhone nafrat ki pas usne bhi unke amaal akaarat kerdega. 47:9
kya wo log zameen mein nahin chale phiray k ye dekh lete k jo kuch unse
pehle the unka anjaam kaisa hua, Allah ne unko halaak kerdiya aur
kafiron k liye bhi waisa hi anjaam hai 47:10 ye iss liye k Allah un logon ka
madadgaar hai jo imaan laye aur kafiraoun ka madadgaar koi bhi nahi
47:11 yakheenan Allah unlogoun ko jo imaan le aaye aur unhone nek
amal kiye. Aisi jannaton mein daakhil karega jiske neeche nadiyaan behti
hain aur jo log kafir hogaye wo [dunya mein] issi terha nafa utha lenge
jaise chaupaaye char chugh lete hain aur akhirat mein atish [e dozakh]
unka thikana hoga 47:12 aur kitni hi bastiyan tumhaari is basti se jisne
tumko nikaal bahar kiya quwwat mein

