Page 847 - Quran-e-Kareem
P. 847
54 Sureh Al-Qamar (847) 27 para
th
th
Ek paayedaar(lambe arse ka) azaab ney Aa’pakra 54:38 (jeem) (phir unsey
ye kehdia key lo) ab merey azaab aur merey darawey ka mazah chakho
54:39 aur humney naseehat key liye is quran ko zaroor aasaan kerdia hai
tu Aaya koi naseehat hasil kerney wala hai? 54:40 (hamzah) aur firaoun
waaloun k pass daraaney waley zaroor Aaye 54:41 (jeem) (tu usper)
unhoney hamaari kul nishaniyon ko jhutlaya tu humney (bhi) unko aesa
ley dala jaisa key zaberdast saheb-e-iqtedaar ley daala kerta hai 54:42 (aye
groh-e-quraish) aya tumhaarey kufaar in (mazkoora bala umaton) sey
behter hain ya tumhaarey liye kitabon mein chutkara agaya hai? 54:43
(jeem) ya ye kehtey hain k hum badla leney waley groh hain 54:44
anqareeb ye groh azeemat (sharmindagee) dia jayega aur ye peeth
dikhaingey 54:45 baat ye hai key qayamat unkey wadey ka din hai aur
qayamat bari hi sakht aur bari hi talkh cheez hai 54:46 beshak gunahgaar
(yahan tu) gumraahi mein hain aur (wahan) bharakti aag mein (hongey)
54:47 (meem) jisdin k wo aag mein apney chehroun k bal ghaseetey
jaingey (toye) (aur unsey ye kaha jayega k) jahannum k chuu jaaney ka
mazah chakho 54:48 beshak humney her ek cheez ko ek andaazey sey
paida kia hai 54:49 aur hamara hukum nahi hai mager jaisey ek palak ka
jhapak jana 54:50 aur hum tumhaarey humsaron ko zaroor halaak ker
chukey hain pus hai bhi koi naseehat paaney wala? 54:51

