Page 842 - Quran-e-Kareem
P. 842
53 Sureh an-Najm (842) 27 para
th
rd
go sagheera se na Karen (toye) beshak tumhaara perwerdigaar bara
bakhshney wala hai (toye) woh tumhaarey haal se isswaqt bhi khoob
waaqif tha jabkey usney tumko zameen se paida kia aur uswaqt bhi jabkey
tum apney maaon k paith mein janeen they (jeem) pus tum apney aap ko
pakeezah na tehraho jo perhaizgaar hai usey khuda khoob waqif hai 53:32
(hamza) Aaya tumney us shaks ko ghor se dekha jis ney (haq se)
rugarhdaani ki 53:33 (laa) aur thora kharch kia aur hath rok lia 53:34 aya
ilm-e-ghaib uskey pass hai k woh (usey sey) samajh leta hai 53:35 ya usko
uski khaber nahi di gai jo kuch moosa k sahifon mein hai 53:36 (laa) aur
ibraheem se jinhon ney (haq-e-ataat) poora poora adaa kerdia tha 53:37
(laa) (yaani) ye k koi bojh uthaney wala doosrey ka bojh na uthayega 53:38
(laa) aur ye key insaan k liye kuch (bhi) nahi hai siwaye utnee k jitni
usney koshish ki ho 53:39 (laa) aur ye k uski koshish aagey chal ker dekhi
jayegi 53:40 (soad) phir usko uska badla pooram poor dia jayega 53:41 (laa)
aur ye k inteha tumhaarey parwardigaar hi k huzoor mein hogi 53:42 (laa)
aur ye k ussi ney hasaya aur rulaya 53:43 (laa) aur ye k ussi ney mara aur
jalaya 53:44 (laa) aur ye k nutfey se jab wo (reham mein) pohonchadia
gaya ussi ney dono qismein 53:45 (laa) nar-o-mada paida kiye 53:46 (soad)
aur ye k doobara paida kerna

