Page 848 - Quran-e-Kareem
P. 848
55 Sureh Ar-rahman (848) 27 para
th
th
Aur her kaam jo unhoney kia tha nawishtoun(kitaaboun) mein (mojood)
hai 54:52 aur her chota aur bara (amal) likha hua hai 54:53 baltehqeekh
perhaizgaar log jannatoun mein aur nehron mein 54:54 (laa) zeikhtiyaar
badhshah key pass khushnodi ki jagha mein hongey 54:55 (hamzah)
Surah Ar-Rahman (makee) 78 Ayaats
Bismillah Ar Rahman Nir Raheem
Rahman o Raheem khuda key naam se (shuru kerta hoon)
(khuda-e) rehmaan ney 55:1 (laa) quran(majeed) taleem fermaaya 55:2
(toye) ussi ney insaan ko paida kia 55:3 (laa) aur ussi ney usko bayaan
(karna) sikhaaya 55:4 sooraj aur chand (muqarrar) hisaab per (chaltey)
hain 55:5 (soad) aur bail aur darakht dono sajdey mein hain 55:6 aur
aasman ko usney buland kia aur mezaan ko neechey rakha 55:7 (laa) taake
tum mezaan k baarey mein sarkashi na karo 55:8 aur insaaf se wazan ko
theek (theek) jancho aur mezaan ko nukhsaan na pohonchao 55:9 aur
zameen ko usney logon k liye banaaya hai 55:10 (laa) jismein maywe (bhi)
hain aur theli daar khajoor k darakht (bhi) 55:11 aur bhoosey wala dana
aur khushbodaar phool hain 55:12 (jeem)

