Page 844 - Quran-e-Kareem
P. 844

54  Sureh Al-Qamar                  (844)                        27   para
                                                                                          th
                         th

               Dekhengey tu ussey rogerdani karengey aur yehi kahey jaingey k hamesha


               ka jadoo hai 54:2 aur unhoney jhutlaaya aur apni khwahishon ki peravi ki

               aur her kaam inteha ko pohonchney wala hai 54:3 aur un k pass yaqeenan


               aesi khabrein achuki thin jinmein dhamki (bhi) thi 54:4 (laa) (aur) inteha

               darjey ki danai (bhi) phir (bhi) dhamkiyan kuch kaam nahi detein 54:5


               (laa) ab tum unsey munh pherlo jis din bulaaney wala unko makrooh


               cheez ki taraf bulayega 54:6 (laa) ankhein unki jhuki hui hongi qabroun se

               istarhan niklengey goya wo pheli hui tidiyan hain 54:7 (laa) bulaaney


               waley ki taraf taiz (taiz) jaate hongey (aur) kafir ye kehtey hongey k ye din

               tu bara hi kathin hai 54:8 insey pehley noah ki qaom ney jhutlaya tha pus


               unhoney hamarey bandey ki takzeeb ki thi aur ye kaha tha k ye tu


               deewana aur sataaya hua hai (jhirak diya) 54:9 pus unhoney apney

               perwerdigaar sey dua ki k mein tu maghloob hogaya ab tu inteqaam leley


               54:10 pus humney mosladhaar pani key sath aasman key darwazey


               kholdiye 54:11 (laa) aur humney zameen ko pharker chashmey hi

               chashmey kerdiye pus us amr k bamojab jo yaqeenan tay ker dia gaya tha


               (aasman k) paani sey (zameen ka) paani milgaya 54:12 (jeem) aur hum us


               (noah) ko takhton aur keelon wali (yani kashti) uthaye huye rahey 54:13

               (laa)
   839   840   841   842   843   844   845   846   847   848   849