Page 879 - Quran-e-Kareem
P. 879

60  Sureh Al-Mumtahana                     (879)                        28   para
                                                                                                 th
                         th





               aurton k liye halal hain (toye) haan jo kuch wo kharch kerchukey ho tum

               unko dedo (toye) aur usmein tumper koi ilzaam nahi k tum unsey nikah


               kerlo jabkey tum unka meher dedo (toye) aur kafir aurton ko tum apney


               nikah mein na rakho aur jo kuch tum kharch kerchukey ho (wo unsey)

               maang lo aur jo kuch wo kharch kerchukey hain wo tumsey maang lein


               (toye) khuda ka faisla yahi hain (toye) wo tumhaarey mabein hukum deta

               hai (toye) aur allah sahib-e-ilm-o-hikmat hai 60:10 aur tumhaari aurton


               mein se koi tumhaarey hath se nikal ker kafiron ki taraf chali jaye phir


               kufaar ka maal-e-ghanemat tumhaarey hath aye tu jin logon ki aurtein

               chali gayi hon unko ( us maal-e-ghanemat mein se) itna dedo jitna wo


               kharch kerchukey hon (toye) aur us allah se dartey raho jissper tum imaan


               rakhtey ho 60:11 aye nabi jab imaan laney wali aurtein tumhaarey pass is

               shart per tumhaari baith kerney ayein k na wo kisi cheez ko allah ka


               shareek qaraar dein aur na chori Karen aur na zina Karen aur na apni


               aulad ko qatal Karen aur na (apney shoharon per) apney hathon aur

               pairon k mabein koi bohtaan bandein (yani ghair k bachey ko shoher ka


               na qarar dein) aur na kisi naiki mein tumhaari nafermani Karen tu unki

               baith qabool kerlo
   874   875   876   877   878   879   880   881   882   883   884