Page 880 - Quran-e-Kareem
P. 880
61 Sureh As-Saff (880) 28 para
th
st
aur unkey barey mein khuda se maghfirat mango (toye) beshak allah bara
bakhshney wala (aur) bara reham kerney wala hai 60:12 aye imaan laney
walon in logon se dosti na karo jinper khuda ney apna ghazab nazil kia hai
aur woh akhirat se aese hi mayoos hain jaisey kafir log (murdon k zinda
honey) se 60:13 (hamza)
Surah As-Saff (madnee) 14 Ayaats
Bismillah Ar Rahman Nir Raheem
Rehman o Raheem khuda k naam se (shuru kerta hon)
Jo kuch aasmanoun mein hai usnei aur jo kuch zameen mein hai usney
allah ki paki bayan ki (jeem) aur wohi ghalib (aur) hikmat wala hai 61:1
aye imaan laney walon jo kertey nahi woh munh se kehtey kyu ho 61:2
khuda k nazdeek ye baat hadh se ziada napasandeeda hai k munh se wo
kuch kaho jo karo nahi 61:3 beshak allah tu unlogon ko dost rakhta hai jo
uski rah mein istarhan saff baandh ker lartey hain goya wo seesa {metal}
pilaayi hui deewar hain 61:4 aur (uswaqt ko yaad karo) jabkey moosa ney
apni qaom

