Page 882 - Quran-e-Kareem
P. 882
61 Sureh As-Saff (882) 28 para
th
st
aur deen-e-haq k sath bheja takey usko tamam adyan per ghalib kerdey go
mushrikon ko bura lagey 61:9 (hamza) aye imaan laney walon aya mein
tumko aesa sauda batlaon jo tumhey dardnaak azaab se bachaley 61:10 k
allah per aur uskey rasool per imaan lao aur allah ki rah mein apney
malon aur apni janon se jehaad karo (toye) ager tum samjho tu ye
tumhaarey liye sab se behter hai 61:11 (laa) allah tumhaari khatir se
tumhaarey gunah bakhsh deyga aur tumko aesi jannatoun mein daakhil
karega jin key neechey neherein behti hain aur un pakeezah makanon
mein (pohonchayga) jo dawaami jannaton mein hain (toye) aur doosri wo
cheez (ata fermayega) jisey tum bohhot hi dost rakhtey ho 61:12 (laa) yani
allah ki taraf se nusrat aur jald aney wali fatah (toye) aur momineen ko
kushkhabri sunado 61:13 aye imaan laney walon tum allah k madadgar
banjao jaisey essa ib-e-marium ney hawariyon se fermaya tha k allah k liye
merey madadgar kaun kaun hongey (toye) tu hawariyon ney jawab dia tha
k allah k madadgar hum hain pus bani Israel mein se ek groh tu imaan
laya tha (meem)

