Page 883 - Quran-e-Kareem
P. 883
62 Sureh Al-jumu’a (883) 28 para
th
nd
aur ek kafir hogaya tha (toye) phir humney unlogon ki jo imaan laye they
unkey dushmanon k berkhilaf taeed ki thi tu wo ghalib rahey they 61:14
Surah Al Jumu’a (madnee) 11 Ayaats
Bismillah Ar Rahman Nir Raheem
Rehman o Raheem khuda k naam se (shuru kerta hoon)
Asmanon mein jo kuch hai aur zameen mein jo kuch hai wo us allah ki
tasbeeh kerta rehta hai jo badhshah hai paak hai zaberdast hai (aur)
hikmat wala hai 62:1 woh wohi hai jisney makkey k rehney walon mein ek
rasool unhi mein se maboos fermaya jo unko khuda ki ayatein perdh
perdh ker sonata aur unkey zahir o batin ko paak kerta hai aur unko
quran aur shariyat ki taleem deta hai (qaaf) go isey pehley woh khuli
gumrahi mein they 62:2 (laa) aur unhi mein se doosron k liye bhi (maboos
fermaya hai) jo abhi unsey nahi miley hain (toye) aur wo zaberdast (aur)
hikmat wala hai 62:3 ye tu allah ka fazal hai k jisey chahta hai inayat
fermata hai (toye) aur allah barey fazal ka malik hai 62:4 un logon ki
misaal jinper

