Page 959 - Quran-e-Kareem
P. 959
th
th
100 al-adiyyat 111 al-qaria (959) 30 para
th
Insaan apnay rabb k liye badhaa hee naa shukra hai (1) 100:6(jeem) aur wo
iss baat per khud bhi zaroor gawah hai 100:7(jeem) aur wo maal ki (2)
bohhot muhabbat rakhta hai 100:8(toye) kia wo nahi jaanta k jab murdey
khabroun se nikaale jaayenge 100:9(laa) aur seenoun k bhed khol (3)diye
jaayenge 100:10(laa) uss din unka parwardigaar unse zaroor waaqif honga
100:11(1AIN11-25)
SUREH AL-QARIA (MAKEEH) 11 AAYAT
Bismillah Ar Rahman Nir Raheem
Rahman o raheem khuda k naam se (Shuruu karta hun)
Khard khardaane (4) waala (waaqeya) kia hai 101:1(laa) wo khard
khardaane(5) waala (waaqeya) ? 101:2(jeem) aur tum kia samjhey k wo
khard khardaane waala (waaqeya) hai kia ? 101:3(toye) wo din hai jiss din
aadmi aesei hojaayenge (6) jaise phayle huye patingay 101:4(laa) aur
pahaard aese hojaayenge jaise dhunki(7) hui oon {wool} 101:5(toye) pass
jiske aamaal nayk ki tool bhaari(8) utreygi 101:6(laa) wo to khaatir
khawa{bohhot zyaada} aish mea hoga 101:7(toye) aur jiske amaal (nayk) ki
tool kam utreygi (9) 101:8(laa) to uska thikaana haawiya hoga 101:9(toye)
aur tum kia samjhey k haawiya kia hai ? 101:10(toye) dehekti hui aag hai
101:11(1AIN11-26)

