Page 957 - Quran-e-Kareem
P. 957
th
th
98 sureh al-bayyina (957) 30 para
jab tak k unke pass koi khuli hui daleel (1)na aajaati 98:1 (laa) (yani) allah
ki taraf se rasool jo unko paak saheefay parhker sunaata hai 98:2(laa) jin
mea pokhta nawishte moujuud hai 98:3(toye) aur wo log jinko kitaab dee
gayi thi mutafarriq nahi huye magar baad iske k unke pass khuli daleel
aagayi 98:4 (toye) halaanke unko kuch aur hukum nahi diya gaya magar ye
k allah ki ibaadat karey khaalis bandagee ussi ki karein (aqaayed baatilaa
se ) (laa) ek taraf rahey namaaz parhe aur zakaat de aur (ye samajhle k )
theek (theek) deen yahee hai 98:5 (toye) beshak ahl e kitaab mea se jo
kaafir hogaye (3) wo aur mushrik dozakh ki aag mea jaayenge (aur)
hamesha ussi mea rahenge (toye) saari makhlookh se battar yahee log hai
98:6(toye) yakheenan jo log imaan laaye aur unhone nayk kaam kiye (4)
saari makhlookh se behtar wahee log hai 98:7(toye) unka badla unke
parwardigaar (5) k pass hamesha rehne k baagh hai jinke neechey nadiya
behti hai unmea wo hamesha hamesha rehne waale hongay (toye) allah
unse raazi aur wo usse khush hongay (toye) ye uske liye hai jo apnay
parwardigaar se darta raha ho 98:8(1AIN8-23)

