Page 955 - Quran-e-Kareem
P. 955
th
96th al-alaq (955) 30 para
Karte rahey k unke liye be inteha sawaab hai 95:6(toye) to (aye rasool) unke
baad tumko qayamat k baare mea kon jhutlaayega ?95:7(toye) kia khuda (1)
sab faysla karne waaloun se barhker faysla karne wala nahi hai ? 95:8(1AIN8-
20)
SUREH AL-ALAQ (MAKEEH) 19 AAYAT
Bismillah Ar Rahman Nir Raheem Rahman o raheem khuda k naam se
(Shuruu karta hun)
Parh apnay parwardigaar k naam se (2) jisne payda kiya 96:1(jeem) insaan ko
basta buund se payda kiya 96:2(jeem) Parh aur tera hee parwardigaar sabse
zyaada kareem hai 96:3(laa) jisne khalam k zariyea se taleem dee 96:4(laa) aur
insaan (3) ko wo kuch sikhaa diya jo kuch wo na jaanta tha 96:5(toye) dekho
insaan jab apne aapko be parwaah paata hai to wo zaroor sarkash hojaata hai
96:6 (laa) jab apnay aap ko be parwa pata hai 96:7 (toye) beshak tumhaare
parwardigaar ki huzoori mea palat kar jana hai 96:8 (toye) aaya tumne usse
bhi dekha jo ek bande ko rokta(5) hai 96:9(laa) jab k wo namaaz parhta hai ?
96:10(toye) aaya tumne ye bhi dekha k agar wo hidaayat per ho 96:11(laa) ya
baaz rehne ka hukum deta ho (to rokna kia maani hai) ? 96:12 (toye) aaya
tumne ye bhi dekha k agar usse jhutlaya aur rogardaani ki (to kia nateeja
paayega ) ? 96:13 (toye) kia wo nahi jaanta k allah zaroor dekhta hai ?
96:14(toye) hargiz nahi agar wo baaz na aaya (laa)

