Page 960 - Quran-e-Kareem
P. 960
th
102th at-takhathur 103th al-asr (960) 30 para
SUREH AT-TAKATHUR (MAKEEH) 8 AAYAT
Bismillah Ar Rahman Nir Raheem
Rahman o raheem khuda k naam se (Shuruu karta hun)
Zyaadati ki fakhr (1)tumko ghaafil bana rakha102:1(laa) yahan tak k
tumne khabroun ko dekha (yaani tumko maut aagayi) 102:2(toye) aagah
hojaao k chal k tum jaan logay 102:3(laa) phir sun rakho k aagay chal k
tum jaan logay 102:4(toye) dekho agar tum yakheen k taur per jaan lete (to
ghaafil na hotay) 102:5(toye) to tum dozakh to zaroor dekhogay 102:6(laa)
phir tum usko yakheen ki aankh se dekhogay 102:7(laa) phir tum se uss
din nematoun ki baabat zaroor baaz purus (6) ki jaayegi102:8(1AIN8-27)
SUREH AL-ASR (MAKEEH) 3 AAYAT
Bismillah Ar Rahman Nir Raheem
Rahman o raheem khuda k naam se (Shuruu karta hun)
Waqt e asr (3) ki khasam 103:1(laa) insaan zaroor totay (4) mea hai
103:2(laa) siwaaye unn logoun k jo imaan laaye aur unhone nayk amal
kiye aur ek dusre ko haqq ki pairwee ki (5) taakid karte rahey (laa) aur ek
dusre ko sabr ki wasiyyat karte rahey 103:3(1AIN3-28)

