Page 184 - Quran-e-Kareem
P. 184
5 Sureh Al Maeda (184) 6 para
th
th
Phansaa de (toye) aur aadmiyoun mea se bohhot(1) se zaroor naafarmaan
hai 5:49 kia wo zamaana e jaahiliyyat ka faysla dhoondte (2)hai (toye) aur
yakheen karne waaloun k liye allah se behtar faysla karne wala kaun hai
5:50(7AIN7-11) aye imaan laane waalou ! yahood o nasaara (3) ko dost na
banaao (meem) unmea se ek dusre k dost hai (toye) aur jo tum mea se
unko dost banaayega to wo unhee mea se hojaayega (toye) beshak allah
zaalimoun ki rehnumaayi nahi farmata 5:51 phir unlogoun ko jinke diloun
mea rog hai tum dekhogay k unki dosti mea bohhot jaldi karte hai (4)
(aur) kehte hai k hum darte hai k hum kisi museebat k phere mea na
aajaye (toye) pass khareeb hai k khuda fatah ya koi amr apni taraf se
zaahir karey aur ye munaafiq ussper jo kuch apnay diloun mea chupaaye
huye ho naadam (sharminda) ho 5:52(toye) aur uss waqt imaan laane
waale kahenge k kia ye wahi hai jo sakht sakht khasmein khaate they(laa)
k hum zaroor tumhaare saathi hai (toye) unke aamaal bekaar hogaye aur
wo nuqsaan uthaane waaloun mea hogaye 5:53

