Page 182 - Quran-e-Kareem
P. 182
5 Sureh Al Maeda (182) 6 para
th
th
Gawah they (jeem) pass tum logoun se na daro aur meri aayatoun ko
(thodi) thodi kheemat per mat becho (toye) (1) aur jo log uske mutaabiq
hukum naa karey jo kuch allah ne naazil kiya hai wahi kaafir hai 5:44 aur
humne unnper waajib kardiya tha k jaan k badle (2) jaan ka aur aankh k
badle aankh ka aur naak k badle naak ka aur kaan k badle kaan ka aur
daant k badle daant ka aur issi tarah zakhmoun ka muwaaeza ho (toye)
phir jo maaf karde wo uske gunaahon ka kaffara hojaayega (toye) aur jo
log uske mutaabiq hukum na karey jo kuch allah ne naazil kiya hai pass
wahi log zaalim hai 5:45 aur unhea ambiyaa k khadam ba khadam humne
isa ibn maryam ko chalaya jo apnay pehle ki taurayt ki tasdeeq karte they
(swat) aur unko humne injeel inaayat ki jismea hidaayat (bhi) hai aur nuur
(bhi) aur wo apnay se pehle ki taurayt ki tasdeeq karne waale hai aur
parhezgaaroun k liye hidaayat aur nasiyyat hai 5:46 aur laazim hai k ahl e
injeel ussi k mutaabiq hukum karein jo kuch allah ne injaal mea naazil
kiya hai (toye)

