Page 183 - Quran-e-Kareem
P. 183
5 Sureh Al Maeda (183) 6 para
th
th
Aur jo allah k naazil kiye huye k ba moujud faysla na karey wahi na
farmaan hai 5:47 aur (aye rasool) humne tumper barhaq kitaab naazil ki jo
apnay se pehle kitaaboun ki tasdeeq karne waali hai aur unki muhaafiz (1)
bhi hai pass jo kuch allah ne naazil kiya hai uske bamoujib unke maabayn
faysla karo aur jo haq tumper aachuka hai usse enheraaf karke unki
khwaahishoun ki pairwee na karo (toye) tum mea se her ek k liye humne
ek shariyyat aur ek waazey tareeqay muqarrar kardiya (toye) aur agar allah
chaaheta to tumko ek hee ummat banaadeta lekin usne jo kuch tumko
diya hai issliye diya hai k tumhaari aazmaayesh karey pass nayki mea jaldi
karo (toye) tum sab ki baazgasht khuda hee ki taraf hai phir wo tumko
jatlaa dega jiss jiss amr mea tum ek dusre se ikhtelaaf kiya karte they
5:48(laa) laazim hai k tum unke (3) maabayn ussi k mutaabiq hukum karo
jaisa k allah ne naazil kiya hai aur unke khwaahishoun ki pairwee na karo
aur unse iss baat se darte raho k jo kuch allah ne tumper naazil kiya hai
uske kisi juzz se wo tumko behka na de (toye) phir agar wo rogardaan ho
to samaj lo k allah yahee chaahta hai k unko inke kisi gunah mea

