Page 298 - Quran-e-Kareem
P. 298
9 Sureh at-taubah (298) 10th para
th
Nahi ho (toye) aur (aye rasool) tum kaafiraoun ko dardnaak azaab ki
khush khabri pohonchaado 9:3(laa) magar mushrikeen mea se wo log jinse
tumne ahad kiya tha phir unhonay tumhaaray saath koi (1) kami nahi ki
aur na tumhaare barkhilaaf kisi ko madad dee to unke ahad ko unki
muddat tak poora karo (toye) beshak allah parhezgaaroun ko dost rakhta
hai 9:4 phir jab hurmat waale mahinay poore ho jaayen (2) to mushrikeen
ko jahan jahan tum paao khatl kar daalna aur unko giraftaar karlena aur
unka muhaasera karna aur her her raastay mea unke liye ghaat mea bayth
jana (jeem) phir agar wo touba karlein aur namaaz parhne lagain aur
zakaat dene lagain to inka raasta kholdena (toye) beshak allah barha
bakhashne wala (aur) rehem karne wala hai 9:5 aur agar mushrikoun mea
se koi shaqs tum se panaah maange to usko panaah dena taa k wo khuda
ka kalaam sunne phir usse uske thikaane per pohonchadena (toye) ye
issliye k wo aise log hain jo kuch jaante buujhte nahi hai 9:6(1AIN6-7)

