Page 299 - Quran-e-Kareem
P. 299
9 Sureh at-taubah (299) 10th para
th
Allah aur uske rasool k zimmay mushrikeen ka koi ahad rayh kyun ker
sakta hai siwaaye unke jin se tum ne masjid ul haraam k paas ahad karliya
tha (jeem) pass jab tak wo tumhaare saath ussper qaayem rahein tum bhi
unke saath ussper qaayem raho (toye) beshak allah parhezgaaroun ko dost
rakhta hai 9:7 ye ahad rehta kyun ker halaanke agar (ab bhi ) wo tumper
ghalba paajaayein to na tumhaare baarey mea qaraabat ka lehaaz karein na
ahad o paymaan ka (toye) wo zabaani baatoun se tumko raazi karna
chahte hai halaanke unke dil khush nahi hai (jeem) aur un mea se aksar
naafarmaan hai 9:8(jeem) unhonay khuda ki aayatoun k badle thori se
qeemat leli aur (logon ko) uske raaste roka (toye) beshak jo amal wo kar
rahey hai (ye) bohhot hee bura hai 9:9 wo kisi momin k baarey mea na
qaraabat ka lehaaz karte hai na ahad o paymaan ka (toye) aur wo barhey
(hee) zyaadati karne waale hai 9:10 phir agar wo touba karlein aur namaaz
parhne lagain aur zakaat dene lagain to deen mea wo tumhaare bhai hai
(toye)

