Page 615 - Quran-e-Kareem
P. 615
28 Sureh An-Qasas (615) 20 para
th
th
Aur tum na (uske aayenda k mutaaleq) khauff karo aur na (iske firaaq ka)
ranj karo yaqeenan hum usko tumhaare paas waapas bhi kardenge aur isko
rasooloun mea se qaraar denge 28:7 pass firaoun k kunbey waaloun ne
isko uthaaliya (aur iski khabar na thi ) k yahee larka unke liye dushmani
aur ranj (ka baayes) hoga beshak firaoun aur hamaan aur unn dono k
lashker khatawaar they 28:8 aur zoujha e firaoun ne ye kaha k ye meri
aankh ki bhi thandhak hoga (1) aur teri aankh ki bhi (toye) usse khatl mat
karo (qaaf)(swat) qareeb hai k ye hamey nafa de ya hum isko beta
banaalein halaanke inko (aayenda ki) khabar na thi 28:9 aur waalda e
musa ka dil bechayn hogaya agar hum uske dil ko mazboot na kardete k
wo imaan laane waaloun mea se rahey to qareeb tha k wo uske mutaaleq
raaz ko zaroor khol deti 28:10 aur usne musa ki behen se kaha k khabar k
liye uske peechay peechay chali jaa pass wo duur se usko dekhti rahi aur
unn logoun ko khabar bhi na hui 28:11(laa) aur humne ussper aur daayea
to pehle se haraam kardi thi to usne (jaaker) kaha k kia mea tumko aise
ghar waale batlaadun jo tumhaari khaatir iss bacchey ki kifaalat karey aur
wo iss k (4)

