Page 665 - Quran-e-Kareem
P. 665
32 as-sajda (665) 21st para
nd
Ek chotey azaab ka bhi maza chakaayenge (1) taa k wo (zamana e rajat
mea) palat kar aaye 32:21 aur usse zyaada zaalim kon hoga jisko uske
parwardigaar ki aayatoun k zariyea se nasiyyat ki gayi phir wo unse
rogardaan hogaya (toye) yaqeenan (2) hum sab mujrimoun se inteqaam
lene waale hai 32:22 (2AIN11-15) aur ba tehqeeq humne moosa ko kitaab
inaayat ki pass tum unki qayamat ki haazri k baarey mea shak mea na
rehna aur hum ne iss kitaab ko aulaad israyeel k liye hidaayat muqarrar
kiya 32:23(jeem) aur chuunke unhonay sabar kiya tha aur hamaari
aayatoun per yakheen rakhte they (toye) humne bhi unn mea se aise
imam muqarrar kiye jo hamaare hukum k bamoujudd hidaayat karte they
32:24 beshak tumhaara parwardigaar qayamat k din un tamaam baatoun k
baarey mea jin mea wo ikhtelaaf kiya karte they unke maabayn faysla
farmaa dega 32:25 kia iss baat ne k hum ne unse pehle kitney hee
zamaane waaloun ko jin k gharoun mea ye chalte phirte hai halaakh
kardiya inko kuch bhi na samjhaaya (toye) beshak ismea nishaaniya
moujuud hai (toye) kia ab bhi wo (tawajjo se ) nahi sunte ? 32:26 kia wo
ye nahi dekhte k hum pani ko chatteeyal zameen ki taraf hankaa kar
lejaate hai phir uske zariyea se

