Page 666 - Quran-e-Kareem
P. 666
33 al-ahzaab (666) 21st para
rd
Khaythi payda kar dete hai jismea se unke chaupaaye bhi khaate hai aur
wo khud bhi kia ab bhi wo (ghour se ) nahi dekhte ? 32:27 aur wo ye
kehte hai k agar tum (1) sacchey ho to bataao k ye faysla kab hoga ? 32:28
tum ye kehdo k fatah k din un logoun ko jo kaafir hogaye unka imaan
kuch faayeda na dega aur na unko mohallat dee jaayegi 32:29 pass tum
unse rogardaan hojaao aur intezaar karo k (aakhir) ye bhi to intezaar kar
rahey hai 32:30(3AIN8-16)
SUREH AL-AHZAAB (MADANIYYA) 73 AAYAT
Bismillah Ar Rahman Nir Raheem
Rahman o raheem khuda k naam se (Shuruu karta hun)
Aye nabii tum allah se daro aur kaafiraoun (2) aur munaafiqoun ki baat na
maano (toye) beshak allah barha janne wala (aur) hikmat wala hai
33:1(laa) aur jo kuch tumhaare parwardigaar ki taraf se tumhaari taraf
wahi ki jaati hai (toye) iski pairwee karo yaqeenan allah ussi amal se jo
tum kiya karte ho khabardaar hai 33:2(laa) aur allah hee per bharosa rakho
(toye) aur karsaazi k liye allah hee kaafi hai 33:3 allah ne kisi shaks k (3)
seene mea do dil nahi banaaye (jeem) aur na tumhaari unn (4) biwiyoun
ko jin se tum

