Page 738 - Quran-e-Kareem
P. 738
39 Sureh Al-Zamur (738) 24 para
th
th
Aaya yeh uske nuqsaan ko rafaa karsakeingay? Ya wo mujh per rehmat
nazil karni chahay tu aaya yeh usski rehmat ko rook sakeingay ?
(choonkay aesa nahi hai lehaza) tum kehdo k meray liye tu Allah hee kafi
hai bharosa karnay walay tu ussi per bharosa kiya karte hein (toye) 39:38
tum yeh kehdo k aye merii Qaum tum apni jaga amal kiyeh jao mea
(apna) kaam kar raha hoon agay chulkar tum yeh maloom karhee
logay(laa) 39:39 (laa) k woo kaun hai jis per aesa azaab aata hai k ussko
zaleel karday aur ussii per paidaar azaab ( bhee) naazil hota hai (toye)
39:40 beshak hum ne tum per yeh barhaq kitaab logo k faideh k liyh naazil
ki hai (jeem) pes jo shaks hidaayat yaafta hoga tu apni hee zaat ki nafa k le
(jeem) aur jo bhatak jaayega tu wo apni hee zaat ko zarrar {nuqsaan}
pohonchaane k liye bhutkayga (jeem) aur tum inn k nighaybaan nahi
ho(ain) 39:41 Allah janoo ko unki maut k waqt leleta hai aur jo nahi maray
hain unke sonay k waqt ( leleta hai )(jeem). Pus jin per maut ka hukum
saadir karchuka hai unko to rok rakhta hai aur doosray ko aur waqt-e-
moeiyun tak k liye bejh deta hai (toye) bayshuk iss mea unlogo k liyh jo
goor-o-Fikar karein nishaniyaan ( mojood) han-(toye) 39:42 Aaya unhonay
Khuda k siwa aur sifarshee banaliyeh han ?(toye)tum yeh kehdo k agar wo
kisi cheez per ikhteyaar

