Page 741 - Quran-e-Kareem
P. 741
39 Sureh Al-Zamur (741) 24 para
th
th
Azaab aaye ussi k matee raho (warna) phir tumhaari koi madad na ki
jaayegi 39:54 aur jo kuch tumhaare parwardigar ki taraf say tumhaari taraf
nazil kiya gaya hai uss mea say achi say achi baat ki payrawi karte raho
qabal isskay k azaab tumko yaka yuk aalay aur tumko khabar tak na ho
(laa) 39:55 (k) koi uss waqt kehnay lagay haaye afsoos mea nay
jambhullaah k baaray mea yeh kesi kami ki! Aur mea hamesha isski hasi
uraanay walo mea raha! (laa)39:56 ya yeh kehnay lagay k agur Allah mujay
hidaayat fermata tu mea ( bhi) darnay walo mea say hojata (laa)39:57 ya jis
waqt azaab ko daykhay yeh kahay kash meray liye bazgusht hoti tu mea
bhii nayko karo mea say ho jata ! 39:58 (jawab milayga k han) han teray
pas meri ayatein zaroor aayi thee phir tu nay unko jhutlaya tha aur tu nay
bara banna chaaha tha aur tu inkaar karnay walo mea say tha 39:59 aur
qayamat k din tum unlogo ko jinhonay khuda k barkhilaaf jhoot bola hoga
daykhogay k unke chehray seeyah hongay (toye) kiya takabur karnay walo
ka theekana jahunum mea nahi hai ? 39:60 aur Allah tala nay unlogo ko

