Page 742 - Quran-e-Kareem
P. 742
39 Sureh Al-Zamur (742) 24 para
th
th
Jo dartay rahay ba-muraad banaakar nijaat dayga na koi takleef unko
poocheingi aur na wo ranjeeda raheingay 39:61 khuda (hee) her cheez ka
payda karnay wala hai aur wohi her cheez ka karsaaz hai 39:62 asmaano
ki aur zameen ki kunjiyaan ussi k haath han (toye) aur jinhonay Allah ki
nishaniyaun ka inkaar kardiya thotha paanay walay tu wohi han 39:63
tum yeh kehdo k aye jaahilo ! kya tum mujay yeh hukm dete ho k mea
Allah k siwaa kisi aur ki ibaadat karun? 39:64 halaanke khud meri taraf aur
jo muj say pehle thay unki taraf yeh wahee yaqeeni ki jachuki hai ( jeem) k
agar tumnay shirk kiya tu tumhary amal zaroor mit jaayenge aur tum
zaroor nuqsaan uthanay walo mea say ho jaogay 39:65 lehaza sirf khuda
hee ki ibaadat kiya karo aur shukar-guzaroo mea say ho jao 39:66 aur
unhonay azmut-e-Khuda ka andaza hee nahi kiya jesa k uske andaza
karnay ka haq hai ( sowad/qaaf) halaanke qayamat k din saari zameen ussi
ki mulkiyat hogi aur asmaan uskay dahinay haath mea liptay howay
hoongay jin cheezo ko yeh usska shareek gardaantay hain unsay usski zaat
munazza-o-burtar hai 39:67 aur (pheli martaba) soorr phooka jaayega tu jo
asmaano mea han wo (bhi)( murkar) girparayngay

