Page 739 - Quran-e-Kareem
P. 739
39 Sureh Al-Zamur (739) 24 para
th
th
Na rukhtay hon aur koi baat samaj naa saktay ho tu bhi unhi ko sifarshee
bataogay(toye) 39:43 tum yeh kehdo k shifaayat tu pori pori Allah hee k
haath hai (toye) ussi ko aasmano ka ikhtiyaar haasil hai aur (usski ko)
zameen ka (toye) phir ussi ki taraf tumhaari baazgusht (bhi)hogi (toye)
39:44 Aur jis waqt khuda-e-Yakta ka zikr kiya jata hai tu unlogo k dil jo
aakhirat per Imaan nahi rukhtay mutunafar {nafrat se} hojaate hain (jeem)
aur jab unka zikur kiya jata hai tu uske maavira hain tu wo khushi k
maray phulay nahi samatay(toye) 39:45 Tum yeh kehdo k aye Allah ! aye
Aasmano aur zameen k paida karnaywalay ! aye chuppi aur khulee k
jaanay walay! Tu hee apnay bando k maabain un tamaam mamlaat mea
faysala farmaeayga jin (jin) mea wo ikhtelaf kiya karte hain(toye) 39:46
aur agar un logo k ikhtiyar mea jo nafarni kiya karte han zameen mea aur
jo kuch hai yeh sab ho aur utnaa hee uske saath ho aur ho tu qayamat k
din azaab ki sakhti k muqabalay mea wo uss (sab) ko batoor-e-fidya
deingay (toye).aur Allah ki taraf say unke baaray mea wo kuch zahir hoga
jiska wo gumaan (bhi) na karte thay (toye) 39:47 aur jo jo aufaal wo kiya
karte thay unki buraeiyaan un per saaf khul jaaeingi aur jis (azaab) ki wo
hassi uraaya karte hain wohi

