Page 740 - Quran-e-Kareem
P. 740
39 Sureh Al-Zamur (740) 24 para
th
th
Unko aaghayrayga (toye) 39:48 pus jis waqt insaan per koi takleef aapurti
hai tu wo hum say dua karnay lagta hai phir jub hum ussko apni taraf say
koi naymat aata karte hain tu kehdayta hai k yeh tu mujay apnay ilm ki
badaolut mayasur aayi hai (toye) haqeeqat mea yeh tu aazmaeish hai
laykin unn mea say aksur jaantay hee nahi 39:49 insay jo pehle thay wo
bhi aesa hi kaha karte thay pus jo kuch unhonay kamaaya tha usnay unko
koi faida na pohonchaaya (toye) 39:50 phir jo (jo) aufaal unhonay kiyeh
thay unki takleefein unko poochein (toye) aur inmay say jo nafarman
rahay ankareeb unke aufaal ki buraeiyaan unko pohonchingi aur wo khuda
ko aajiz na karsakingay 39:51 kya wo itna bhi nahi jaantay k yaqeenun
Allah jiskay liye chahta hai rizk ko waseeh kardeta hai aur ( jis k liyh
chahta hai ) tung kardayta hai (toye) beshak ismay unlogo k liye jo imaan
laatay han nishaniyaan (mojood) han.(ain) 39:52 tum kehdo k aye meray
wo bandoo jinhonay apni hi zaat per zyaadati ki hai ( yani dil khool kar
gunnah kiyeh hain) tum Allah ki rehmat say mayus na hona (toye)
yaqeenun Allah sab hi gunahoo ko bukshdayga bayshuk wo bara
bakshnay wala (aur) rayhum karnay wala hai 39:53 aur tum log apnay
parwardigaar ki taraf rujoo karo aur qabal iskay k tum per

