Page 746 - Quran-e-Kareem
P. 746
40 Sureh Al-Momin (746) 24 para
th
th
(Aur yeh kehtay rehtay han kay) aye hamaaray parwardigar teri rehmat
aur tera ilm her cheez per haawi hai pass jin logo nay tauba karli hai aur
wo teri raah per chaltay han unke gunah bakshday aur unko jahannum k
azaab say bacha le 40:7 (aur) hamaaray parwardigar unko hamesha rehnay
ki jannutoo mea jinka tu nay unsay wada kiya hai daakhil farma day aur
unke baap dada mea say aur unki izwaaj mea say aur unki olaad mea say
(jo) naik hoon unko (bhi) (toye) bil-tehkeeq tu bara zabardast ( aur )
hikmat wala hai ( jeem)(swad) 40:8 aur unko takleefon say bachalay (toye)
aur jisko tu nay uss din takleefon say bacha liyah ussi per tu yakeenun
rehmat farmaayi (toye) aur yehi tu bari kamiyabi hai 40:9 jo log kafir
hogaye thay unsay yaqeenan awaz daykar kehdiya jaayega k khuda ki
narazgi uss say kahein zyada hai jitna k tum apnay aapay say naraz ho k
tumko imaan ki taraf bulaaya jaaya karta tha issper bhi tum inkaar kardiya
karte thay 40:10 wo arz kareingay k parwardigar tu nay tu humko doo dafa
maara aur doo hee martaba jilaya {zinda kiya} phir hum nay apnay
gunahoon ka ayetiraaf kiya tu ab( bhi) iss azaab say nikulnay ki koi sabeel
hai ? 40:11 ( jawab milayga k ) baat tu yehi hai k jab khuda –e-yakta

