Page 759 - Quran-e-Kareem
P. 759
th
40 Sureh Al-Momin (759) 24 para
th
Jisnay tumhaare liye chaupaaye banaaye k unmay say baaz per tum sawaar
hotay ho aur unmay say baaz ko tum khatay ho (zay) 40:79 aur tumhaare
liye unmay aur munaafa ( bhi) han aur yeh (gurz) bhi hai k unper sawaar
ho kar tum apnay maqsood tak jo tumhaare dilo mea hai pohonch jao aur
unper aur kashtiyaun per tum laday laday {sawaar} phirtay ho (toye) 40:80
aur wo tumko apni nishaniyaan dikhlaata hai phir bhi tum Allah ki
nishaniyoon mea konsi ka inkaar karte ho ? 40:81 kya wo zameen mea
nahi chalay phiray k yeh daykh laytay k unsay pehloun ka injaam kesa
howa jo unsay tadaad mea (bhi ) zyada thay aur qawaat mea (bhi) aur
zameen mea naam-o-nishan ki haysiyut say (bhi) (toye) phir jo kuch wo
kiya karte thay wo unke kuch (bhi) kaam na aaya 40:82 pas jis waqt unke
rasool unke pass khuli daleelein laykar aaye tu jo ilum unke pass pehle say
thaa ussi per nazaan rahay aur (injaam-e-kar) jis (azaab) ka wo thatta
uraya karte thay ussi nay unko aan ghayra 40:83 phir jis waqt unhonay
hamara azaab daykhaa tu kehnay lagay aub hum khuda-e-yakta per imaan
laaye aur jin cheezon ko uska shareek kiya karte thay aub hum un sab k
munkir hogaeay 40:84 magar jab wo hamara

