Page 761 - Quran-e-Kareem
P. 761
41 Sureh haa meem (761) 24 para
th
st
Aur ussi say maghferat talab karte raho aur unn mushrikoun k waaste
wayel {jahannum ka tabkha} hai (laa) 41:6 jo zakaat adaa nahi karte aur
wo aakherat k bhi ( pooray pooray) munkir hain 41:7 beshak jo log imaan
laaye aur unhonay naik amal kiye unke liye aisa ajar hai jiska koi ehsaan
na jataya jaayega (ain) 41:8 tum yeh kehdo k kya tum uska inkaar karte ho
jis nay deen ko do din mea paida kiya aur uskay liye shareek qaraar dete
ho? (toye) tamaam aalemoun ka parwarish karnay wala wohi to hai (jeem)
41:9 aur ussi nay iss zameen mea ( baray baray) bhojul pahaar ooper Ki
taraf say qaim kiye aur ussi nay (zameen) mea barkat dee aur ussi nay iss
mea chaar din k arsay mea unki quwwat basree k samaan andazaa say
muqarrar kardiye jo sab maangnay waloo k liye baraabar hain 41:10 phir
wo asmaan ki taraf mutawaja huwa halaanke wo uss waqt dhunwaa tha –
pas ussnay asmaan –o-zameen ko hukum diya k tum bakhushi ya
bakarahut hazir ho (toye) dono nay arz ki hum bakhushi hazir hain 41:11
pass uss nay do din mea unko saat asmaan banadiya aur her (her) asmaan
mea bazurya wahi uskay munasibay haal hukam pohonchaadiya (toye) aur

