Page 841 - Quran-e-Kareem
P. 841
53 Sureh an-Najm (841) 27 para
th
rd
Ka Allah hi malik hai 53:25 (hamza) aur aasmanon mein bohhot se
farishtey hain k unki shafaat kuch kaam na ayegi mager baad iskey k Allah
ta’ala jiske liye chaahe ijaazat dede aur pasand bhi farmaale 53:26 beshak jo
log aakhirat pe imaan nahi rakhtey woh farishtoun k naam aurton k jaise
naam rakhtey hain 53:27 aur iss barey mein unko ilm khaak bhi nahi hai
(toye) wo niri atkal pe chaltey hain (jeem) halaanke atkal haq k muqaable
kuch (bhi) kaam nahi desakti 53:28 (jeem) pass jisney hamaari yaad se
munh phiraalia aur siwaaye zindagaani dunya k aur kisi cheez ka
khwastgaar hi nahi hai pus tum bhi usey munh phiraalo 53:29 (toye) unke
ilm ki inteha itni hee hai (toye) beshak tumhaara parwardigaar usey (bhi)
khoob waqif hai jo uski raah se bhatak gaya hai (laa) aur ussey (bhi) aagah
hai jisney hidaayat paayi hai 53:30 aur jo kuch aasmanoun mein hai aur jo
kuch zameen mein hai woh Allah hi ka hai taake woh unko jinhoney
badee ki hai unke kartoot ki saza de aur unki jinhoney naiki ki hai naik
jaza dey 53:31 (jeem) jo kabeera gunahoun sey aur behayaaee ki baatoun se
ajtanab kertey rehtey hain

