Page 952 - Quran-e-Kareem
P. 952
th
92nd Sureh al-lail (952) 30 para
Paani peene ko naa cherna 91:13(toye) pass unhone rasool ko jhutlaya aur uss
oontni ki kochey {taange} kaat daale (laa) pass unko parwardigaar ne unnper
unke iss gunah k sabab azaab naazil kiya phir unka patlaa{nuqsaan} kar diya
91:14(laa)(swat) phir usse to kisi k badla lene ka darr hai hee nahi (1) 91:15
(1AIN15-16)
SUREH Al-LAIL (MAKEEH) 21 AAYAT
Bismillah Ar Rahman Nir Raheem
Rahman o raheem khuda k naam se (Shuruu karta hun)
Khasam hai raat ki (2) jab ki wo chaah jaaye 92:1(laa) din ki jab k wo chamak
uthey 92:2(laa) khasam hai uski jisne narr o maada ko payda kiya 92:3(laa)
beshak tumhaare koshishayn mukhtalif (5) hai 92:4 pass jiss shaks ne diya aur
parhezgaari barti 92:5(laa) aur theek baatoun ki tasdeeq ki (6) 92:6(laa) to
bohhot jald hum usse asaani ki taufeeq denge 92:7(toye) aur raha wo jisne
kanjoosi ki aur be parwaayi barti 92:8(laa) aur achi baatoun ko jhutlaaya
92:9(laa) to bohhot jald hum usse sakhti mea phansaa denge 92:10(toye) aur
jab wo marega to uska maal uske kuch kaam na aayega 92:11(toye) beshak
hamaare zimmay zaroor hidaayat kardena hai 92:12(zaal) (swat) beshak
hamaare hee liye (mulk) aakhirat aur dunia hai 92:13 so maine tumko
bharakti hui aag se daraya hai 92:14(jeem) k usmea koi na jaayega magar wahi
badd bakht (7) 92:15(laa) jisne jhutlaaya aur rogardaani ki 92:16(toye)

