Page 953 - Quran-e-Kareem
P. 953
th
93rd Sureh ad-dhuha (953) 30 para
Aur ankhareeb usse wo parhezgaar bacha liya jaayega 92:17(laa) jo apna
maal iss gharz se deta hai k paak hojaaye 92:18(jeem) aur ussper kisi ka
ehsaan nahi hai k uska badla diya jaaye 92:19(laa) balke wo apnay
aalishaan parwardigaar ki raza chahta hai 92:20(jeem) aur aagay chalker wo
zaroor usse raazi hojaayega 92:21(1AIN21-17)
SUREH AD-DHUHA (MAKEEH) 11 AAYAT
Bismillah Ar Rahman Nir Raheem
Rahman o raheem khuda k naam se (Shuruu karta hun)
Khasam hai dhoop charte waqt ki 93:1(laa) aur khasam hai raat ki jab k
wo chaah jaaye 93:2(laa) (aye rasool) tumhaara parwardigaar tum se dast
bardaar hua aur na naraaz hua (1) 93:3(toye) aur tumhaare waste aakhirat
dunia se kayyi behtar hai 93:4(toye) aur aagay chalker(2) tumhaara
parwardigaar tumko iss khaddar ataa farmaayega k tum khush hojaaogay
93:5(toye) kia usne tumko yateem nahi paaya phir jagah dee (3) 93:6 (swat)
aur tumko bhatka hua paaya aur apnay manzil e maqsood tak pohonchaya
93:7(swat) aur tumko mohtaaj paaya phir maaldaar kardiya 93:8(toye) pass
ab yateem per zulm naa karna (4) 93:9(toye) aur sawaal karne waale ko na
jhirakna 93:10(toye) aur yahee tumhaare parwardigaar ki nemat so iska
zikr karte rehna 93:11(5)

