Page 177 - Quran-e-Kareem
P. 177
5 Sureh Al Maeda (177) 6 para
th
th
Pass naafarmaan logoun k haal per kuch afsos(1) na karo 5:26(4AIN7-8)
aur unko adam k dono betoun k waaqayi (2) khabar parhker sunaado
(meem) jiss waqt k unn dono ne qurbani pesh ki to unn dono mea se ek ki
to qubool hogayi aur dusre ki qubool na hui (toye) to usne ye kaha k
tujhey zaroor khatl kar daalunga (toye) usne kaha k allah to
parhezgaaroun ki (nazar) khubool karta hai 5:27 agar tu apnay haath meri
taraf issi niyyat se barhaayega k mujhey khatl karde to mea apna teri taraf
iss niyyat se barhaane wala nahi hun k tujhey khatl kardun (toye) kyun k
mea to kull aalamoun k parwardigaar khuda se darta hun 5:28 mea to ye
chaahta hun k tu mera aur apna (dono ka ) gunaah samayt lejaaye aur
jahannumi hojaaye (jeem) k zaalimoun ka badla yahee hai 5:29 (jeem) phir
uske nafs ne usse uske bhai k khatl per aamada kiya aur usne usse khatl
kardiya phir wo nuqsaan uthaane waaloun mea hogaya 5:30 phir allah ne
ek kawwa bheja k wo zameen khurayd ta tha k usse dikhaade k wo apnay
bhai k haalat badd (laash) ko kyun ker (kisstarah) chupaaye (toye) to wo
kehne laga haaye kharaabi meri kia mea is se (bhi) aajiz hun k

