Page 194 - Quran-e-Kareem
P. 194
5 Sureh Al Maeda (194) 7 para
th
th
Paak cheezein khao (soad) aur us Allah se dartey raho jisper tum imaan
rakhtey ho 5:88 khuda ta’ala tumhaari mohmil(bekaar ki) qasmon per koi
muakhaza na karega laikin in qasmon per moakhiza karega jo tumney
(qasadan) khai hon (jeem) pus aesi qasam ka kafara dus miskeen ka khana
khilana hai mutawasat qisam k khaney mein sey jo tum apney mutaliqeen
ko khilatey ho ya dus admiyoun ko kaprey pehnadena hai ya ek ghulam
azad kerdena (toye) aur jisey ye muyaser nahi tu teen din k mutawatir
rozey rakhdena (toye) ye tum hari qasmon ka kafara uswaqt hai jab k tum
pakki qasam kerchukey ho (toye) aur apni qasmon ki hifazat karo (toye)
istarhan Allah apney ahkaam ko khol ker bayan kerta hai taakey tum
shuker guzaar ho 5:89 aye imaan laney walon sharab aur juva aur Jamey
hua buth aur pasey siwaye kia hain k shaitan k kaam mein sey naapaak
kaam hain pus insey ijtanab karo taakey tum falah pao 5:90 shaitan to
chahta yahi hai k tumhaarey maabeyn sharab aur juve k sabab sey adawat

