Page 198 - Quran-e-Kareem
P. 198
5 Sureh Al Maeda (198) 7 para
th
th
Nahi muqarrar ki thin balkey jo log kafir hogaye wo Allah per jhoota
bohtaan bandhtey hain (toye) halankey inmein se bohhot se aqal nahi
rakhtey 5:103 aur jiswaqt unsey ye kaha jata hai k rasool k pass ao aur
Allah ne jo kuch nazil kia hai usse dekho (tu) wo kehdetey hain k humney
jis (tareqey) per apney baap dada ko paya (toye) wohi hamarey liye kafi hai
bhala ager unke baap dada be ilm-o-gumrah they (tub hi) (wo kafi
janengey)? 5:104 aye imaan laney walon tumko apni jaanoun ki hifazet
lazim hai (jeem)ke jab tum hidaayat yafta ho tu jo log gumrah hain wo
tumko zarar na pohonchain (toye) Allah hi ki taraf tum sab ki rujoo hogi
phir jo kuch tum kia kertey they usey wo tumko khaberdaar kerdega 5:105
aye imaan laney walon jab tum mein se kisi ki maut ajaye tu tumhaarey
apas ki shahadat wasihat ki waqt do ki ho jo tum mein se adil hon ya ager
tum safer mein ho aur tumper maut ki mussibat aan pare tu wo do
ghairon hi mein se hon (toye) unhein namaz k

