Page 199 - Quran-e-Kareem
P. 199
5 Sureh Al Maeda (199) 7 para
th
th
Baad tak rok rakho ager tumhey shak hota k wo Allah ki qasam khaker
kahein k hum apni shahadat kisi mawzah per farokht nahi karengey go
(hamara) koi qarabat daar hi kyun na ho aur hum sachi gawahi ko nahi
chupaingey k us soorat mein gunahgaaron mein se hojaingey 5:106 phir
ager is baat ka ilm hojaye k wo dono jhooti gawahi k sabab saza k
mustaheq hogaye tu do aur gawah unke qayam muqam un logon mein se
hon jinka haq mara jata tha jinka haq (shahadat bowajah qarabat-o-
marefat) ziada tha aur wo khuda ki qasam khaker ye kahein k hamaari
gawahi indono ki gawahi se ziada sachi (aur mutaber) hai aur humney kisi
qisam ki ziadati nahi ki aesa kia ho tu hum (bhi) zaroor zaalimoun se hain
5:107 yahi tareqa isbaat k liye ziada mozoon hai k wo log sachi (sachi)
gawahi dedein ya usey daren k unki qasam doosron ki qasam k badh radh
ki jayegi (toye) aur Allah se daro aur (uskey ahkaam) suntey raho (toye)
aur Allah nafermaan logon ki rahbari nahi fermata 5:108(14AIN8-4) jisdin
Allah rasooloun ko jamaah kerke daryaft fermayega k tumko kia jawab dia
gaya tha (toye) tu wo arz karengey k humko ilm nahi hai (toye) sab se
bara khufiya baton ka janey wala tu hi hai 5:109 (uswaqt ko yaad karo)
jiswaqt khuda ta’ala fermayega k aye Eesa ibn-e-Marium (zara) meri

