Page 197 - Quran-e-Kareem
P. 197
5 Sureh Al Maeda (197) 7 para
th
th
Usko Allah janta hai aur Allah her shae se agah hai 5:97 ye (bhi) samajh lo
k Allah barda sakht azaab deney wala hai aur Allah bara bakhshney wala
aur reham kerney wala hai 5:98(toye) rasool k zimey sivaye pohoncha
deney k aur kuch nahi (toye)aur jo kuch tum zahir kertey ho aur jo kuch
chupatey ho usey Allah janta hai 5:99 kehdo k bura aur acha baraber nahi
hosakta go tumhey burey ki kasrat tajub mein daley (jeem) pus aye aqal
walon Allah se dartey raho takey tum falah pao 5:100 (13AIN7-3) aye
imaan laney waloun cheezon ki nisbat sawal na karo jo ager tumhaarey
liye khol ker bayan ki jain tu tumko buri lagein aur ager quran nazil hotey
waqt tum unki nisbat sawal karogey tu wo tumhaarey liye zahir kerdi
jaingi (jeem) Allah ne unsey darguzer fermai hai (toye) aur Allah bara
bakhshney wala (aur) burdbaar hai 5:101 tumsey pehley logon ne (bhi) in
batoun ko daryaft kia tha phir unke munkir hogaye 5:102 Allah ne kaan
phati oonthni, oonthoun ka saand, bakri ka jurwan bacha aur bohhot
burha oonth (ye cheezein)

