Page 195 - Quran-e-Kareem
P. 195
5 Sureh Al Maeda (195) 7 para
th
th
Aur bughz daal dey aur tumko yaad-e-khuda sey aur namaz se rokey
(jeem) tu ab (bhi) baaz aogey 5:91 aur Allah ki aur (Allah ke) rasool ki
attat karo aur dartey raho (jeem) phir ager tum rogerdan hogey tu samajh
lo k hamarey rasool k zimey tu sirf kholker pohchadena hai 5:92 jo log
imaan laye aur jo naik amal kertey rahey unhoney jo kuch khaya pia uskey
barey mein unper koi gunah nahi hai jis haal mein k wo dartey rahey aur
imaan laye aur naik amal kertey rahey phir wo darte rahey aur imaan laye
phir wo darte rahey (toye)aur naiki kertey rahey aur Allah naiki kerney
walon ko dost rakhta hai 5:93 (12AIN7-6) aye imaan laney walon zaroor
hai k Allah ta’ala ek zara si baat yaani uss shikaar k barey mein tumhaari
aazmaish karega jistak tumhaarey hath aur naizey pohonchey taakey Allah
ye jaan ley k us se bedekhey bhaaley kaun darta hai (jeem)pus jo uskey
badh ziadati karega ussi k liye dardnaak azaab hai 5:94 aye imaan laney
walon jab tum ahram ki halat

