Page 196 - Quran-e-Kareem
P. 196
5 Sureh Al Maeda (196) 7 para
th
th
Mein ho tu shikar ko qatal na karo (toye)aur jo tum mein se jaan boojh
ker shikaar ko qatal karega tu uska badla chopayon mein se waisa hi hai
jaisa k usney qatal kia jiskey barey mein tum mein se do munsif hukum
lagadengey aur ye qurbani kaaba pohonchai jayegi ya kufara hoga
miskinon ka khana khilana ya ussi tadaat mein baraber rozey rakhna takey
apney kiye ka mazah chakey (toye) jo pehley hochuka usey Allah ney
darguzer ki (toye)aur jo phir aesa karega pus usey Allah badla lega (toye)
aur Allah zaberdast (aur) badla leney wala hai 5:95 daryai shikaar kerna
aur us shikaar ka khana tumhaarey aur tumhaarey qafiley k faidey k liye
halal kia gaya hai (jeem) aur jabtak tum ahram ki halat mein ho khushki
ka shikaar tum per haram kia gaya hai (toye) aur Allah se dartey raho
jiskey huzoor mein tum ikhatey kiye jaogey 5:96 Allah ne hurmat waley
makaan kabah ko logon k qayam ka baes kia hai aur issi tarhan hurmat
waley mahiney ko aur qurbani ko aur patey daar qurbaniyon ko ye isliye k
tum jaan lo k aasmanon mein aur zameen mein jo kuch hai

