Page 296 - Quran-e-Kareem
P. 296
th
8 Sureh al-anfal (296) 10th para
jehaad kiya aur jinhonay jagah dee aur nusrat ki wo ek dusre k sirparast
hain (toye) aur jo imaan to laaye aur unhonay hijrat nahi ki to jab tak k
wo hijrat na karein tumko unki sarparasti se koi taaluq nahi (jeem) aur
agar wo tumse deen mea madad maangenge to tumko madad dena laazim
hai magar uss khoum k muqaable mea nahi jinke aur tumhaare maabayn
muaaheda ho (toye) aur jo kuch tum karte ho allah uska dekhne wala hai
8:72(toye) aur jo log kaafir ho chukey wo ek dusre k madadgaar hain
(toye) agar tum (jo hukum diya gaya hai) wo na karogay to mulk mea
fitna aur barha fasaad hojaayega 8:73 aur jo log imaan laaye aur unhonay
raah khuda mea hijrat ki aur jehaad kiye aur jinhonay jagah dee aur nusrat
ki barhaq momin wahi hai (toye) baksheesh aur izzat ki rozi unhi k liye
hai 8:74 aur jo log baad mea imaan laaye

