Page 294 - Quran-e-Kareem
P. 294
th
8 Sureh al-anfal (294) 10th para
Aur unke diloun mea ulfat payda (1) kardi thi (toye) agar zameen mea jo
kuch hai tum sab bhi kharch kardete to unke diloun mea ulfat na payda
kar sakte lekin allah ne unke diloun mea ulfat payda kardi (toye) beshak
wo zabardast (aur) hikmat wala hai 8:63 aye nabi tumhaare liye allah aur
momineen mea se jo tumhaara itteba karte hain wahi kaafi hai 8:64(8AIN-
6-4) aye nabi mominoun ko laraayi per aamada karo (toye) agar tum mea
se bees sabar karne waale hongay to wo do sao per ghaalib rahenge iss liye
k kaafir aise log hai jo samajte hee nahi 8:65 ab allah ne tumhaare baare
mea (is hukum mea ) taqfeef[kamee] farmaadi aur ye jaan liya k tum mea
kamzori hai (toye) pass agar tum mea se sabar (3) karne waale sao[100]
hongay to wo [200] do sao per ghaalib aayenge (jeem) aur agar tum mea se
hazaar houngay to wo hukum e khuda se do hazaar per ghaalib rahenge
(toye) aur allah sabar karne waaloun k saath hai 8:66 nabi k paas jabtak k

