Page 295 - Quran-e-Kareem
P. 295
th
8 Sureh al-anfal (295) 10th para
Wo mulk mea ghaalib na aajaaye qaydiyoun ka hona munaasib nahi hai
(toye) tum saamaan e dunia k khwaaestegar ho (qaaf)(swat) aur khuda e
taala aakheratt chaahta hai (toye) aur allah zabardast (aur) hikmat wala hai
8:67 agar tehree e khuda pehle se na hogayi hoti to jo kuch tumne liya hai
uske baarey mea tumper sakht azaab waaqey hota 8:68 ab jo kuch tumne
bataaur ghaneemat le liya hai usmea se halaal o tayyab samajker khaa
(pee) lo(zaal)(swat) aur allah se darte raho (toye) beshak allah barha
bakhashne wala (aur) rehem karne wala hai 8:69(9AIN5-5) aye nabi
qaydiyoun mea se jo tumhaare haath mea hain unse kehdo (1) k agar allah
tumhaare diloun mea nayki paayega (laa) to jo kuch tum se liya gaya hai
uss se behter tumko dedega aur tumhaare gunaah bakshdega aur allah
barha bakhashne wala (aur)rehem karne wala hai 8:70 aur agar wo tumse
qiyaanat ka iraada karenge to wo allah se to pehle hee qiyaanat kar chukey
hain aur issi se usne apna qaabu dediya hai (toye) aur allah saaheb e ilm o
hikmat hai 8:71 beshak jo log imaan laaye aur unhone hijrat ki aur raah
khuda mea apnay maal aur jaan se

