Page 345 - Quran-e-Kareem
P. 345

10    Sureh yunus                          (345)             11   para
                                                                                       th
                         th





                bharosa Allah par hai pas apne muaamle ko durust karo aur apne shuraka

               ko jama karlo phir tumhaara amar tum par posheedah na rahey hai (yaani


               khulam khula muqaable me aajao) phir (jo kuch karna hai) mere liye kar


               guzro aur mujhe mohlat na do 10:71 Phir agar tum rogardaan ho to

               mainay to tumse koi mazdoori nahi maangi (toye) meri mazdoori to Allah


               k zimme hai aur mujhe ye hukum diya gaya hai k mai khaalis itaayat

               karne waalon me se ho jaaun 10:72 Pas un logon ne unko jhutlaya pas


               humne (khud) unko aur jo kashti me unke saath thay unko najaat di aur


               unko pehloun ka jaanisheen kiya aur jo humaari aayaton ko jhutlaya karte

               thay un sab ko humne dibo diya pas soch lo k anjaam un logon ka jinko


               daraya jata tha kya huwa? 10:73 Phir humne unke baad aur rasool unki


               apni qomoun me bheje pas wo khuli daleelen lekar aaye ta hum (phir bhi)

               log jin baaton ki pehle se takzeeb kar chuke thay un par kisi tarhan


               eimaan na laye (toye) ziyaadati karne waalon k dilon par hum issi tarhan


               chaapa laga diya karte hain 10:74 Phir humne unke baad Musa aur

               Haroon ko Firaoun aur uske darbaariyoun k pas apni nishaaniyan dekar


               bheja pas un logon ne takabbur kiya aur wo gunehgaar log thay 10:75
   340   341   342   343   344   345   346   347   348   349   350