Page 341 - Quran-e-Kareem
P. 341
10 Sureh yunus (341) 11 para
th
th
hota jayega aur unko nuqsaan na pohonchaya jayega 10:47 Aur wo log ye
kehte hain k agar tum sache ho to bataao ye waada kab hoga? 10:48 Tum
ye kehdo k siwaye utne k jitna Allah ko manzoor hai mai to apni zaat k
liye na zarrar ka maalik hun na nafah ka (toye) har ummat k liye ek waqt
muqarrar hai (toye) jab unka muqarrarah waqt aajata hai to na woh ek saat
taakheer kar sakte hain aur na pesh qadmi 10:49 Tum ye kehdo k aaya
tumne ye socha k aaya uska azaab tum par yakayak raat ko ya din me aa
pohonche to ye gunehgaar uske mutalliq jaldi kaa he ki karta hai 10:50
Kya tum jab wo azaab waaqe hojayega tab us par imaan laao ge (toye) ab
tum qaail huwe! Haalanke tum hi to uski jaldi kiya karte the 10:51 Phir us
waqt zaalimoun se kaha jayega k hamesha ka azaab chakho (jeem) jo kuch
tum kiya karte the tumko ussi ki to saza di jaati hai 10:52 Aur wo tumse
daryaaft karte hain k kya wo waqia haq hai tum kehdo k haan mere
parwardigaar ki qasam wo beshak haq hai (toye) aur tum us (khuda) ko
aajiz karne waale nahi ho 10:53 (ain) (5 AIN 13-10) Aur agar kisi zaalim
shakhs k paas zameen mea jo kuch hai wo sab kuch bhi hoga to bhi wo
usay fidya mea de daale ga (toye) aur jis waqt wo azaab ko dekhenge

