Page 346 - Quran-e-Kareem
P. 346
10 Sureh yunus (346) 11 para
th
th
Phir jab humaare pas se unke pas haq aaya to kehne lage beshak ye to
khula jaadu hai 10:76 Musa (as) ne farmaya kya tum haq ki nisbat jab wo
tumhaare paas aaya ye kehte ho k (toye) ye jaadu hai (toye) haalanke jaadu
gar falah nahi paate 10:77 Unhon ne jawaab diya kya tum humaare pas
isliye aaye ho k hum ne apne baap dada ko jis par paaya hai us se hum ko
hata do. Aur tum donon ki is sir zameen mea buzurgi qaaim ho jayegi
(toye) halaanke hum tum par imaan laane waale nahi hain 10:78 Aur
Firaoun ne ye kaha k humaare pas her waqifkaar jaadugar ko le aao 10:79
Pas sab jaadugar jab aa chuke to Musa (as) ne unse farmaya k tumko jo
kuch daalna hai daalo 10:80 Pas jab wo daal chuke Musa (as) ne farmaya k
jo kuch tumne kiya hai ye jaadu hai (toye) beshak Allah isko anqareeb
baatil karde ga (toye) beshak Allah mufsidon k kisi kaam ki islaah nahi
fermata 10:81 Aur Allah taala apne kalimaat k zariye se haq ko haq saabit
kar deta hai agar cheh gunehgaaron ko bura lage 10:82 (ain) (8 AIN 12-13)
Pas Firaoun aur uske sardaaron k khouf se k kahin humko takleef na
pohonchayen Musa (as) par unki qoum k thore se aadmiyon k siwa aur
koi imaan na laaya (toye) aur beshak

